काली मंदिर-Canal Road


Dosto, Is jindagi me hum jaane anjaane me kayighatnao or kayi sachchayiyon se vakif hote hain. Or koi bhi ghatna bewajah nahi hoti iss baat ka itihaas bhi gavah raha hai. Is ghatna me bhi maine esi kisi sachchayi ka samna kiya hai Jise me ab batane jaa raha hu. Dhyan rahe dosto ye koi pret ghatna nahi hai.



काली मंदिर-Canal Road
Photo by OVAN from Pexels





                                     काली मंदिर-Canal Road





Dosto, Is jindagi me hum jaane anjaane me kayighatnao or kayi sachchayiyon se vakif hote hain. Or koi bhi ghatna bewajah nahi hoti iss baat ka itihaas bhi gavah raha hai. Is ghatna me bhi maine esi kisi sachchayi ka samna kiya hai Jise me ab batane jaa raha hu. Dhyan rahe dosto ye koi pret ghatna nahi hai.


Pichli ghatna me maine jis chauraahe ke baat ki thi, us chauraahe ka ek rasta canal road bhi hai. Ye Canal Road Ghanta ghar se shuru hokar mall road hote huye usi chaurahe par khatm hota hai. Is Panchakki chaurahe ke baad is Canal raod par IGI hospital, Juhari devi college or Bank of India ki ek branch padti hai.



 Mall road se Cantt ki taraf jaate waqt isi Canal road par Juhari devi college ke baad thodi dur par Sidhe haath ki taraf Ek kaali mandir padta hai. Ye Kaali mandir koi bada mandir nahi hai, ek chhote se kamre me bana ek chhota sa mandir hai. Ye kab bana or kisne banwaya mujhe yaad nahi us waqt me kafi chhota tha. Atyant lubhavni si Kaali mata ki murat ki sundarta atyant daarshniye hai. 



Kamre ke gate ki jagah bahar ek shutter laga hai jesa ki purane jamane ki lift me hua karta tha. Saal 2005 ki baat hai, Us waqt ye mandir sirf ek sadharan se mandir tha Jisme kewal kisi tyohaar ya navraatre me hi puja karne log aya karte the. Kayi saal se wahan ek vradh pujari puja kiya karta tha, jesa ki kaali mata ka wo pujari tha to wo tamsik bhojan or madira ka nitya sewan kiya karta tha. Khair ye to baat huyi pujari ki. 



Main kya wahan aksar kayi log guzarte huye sar jhuka kar Kaali mata ko naman kiya karte the, to kayi log usse ek chhota sa pujari ke matlab ka mandir mankar bina naman kiye chale jaya karte the. Ek din ki baat hai mujhe date to thik se yaad nahi lekin haan wo August ka mahina tha. Barsaat ki ankh micholi roz hua karti thi. Hume khabar mili ke us mandir ke pujari ki kisi hatya kardi hai. Wahan se guzarte huye mene wahan bhid dekhi or apne raaste chalta bana. Kuch din ke liye mandir ko band kar diya gaya. 


Mera ye usul raha hai ke maine kabhi band mandir ke aage naman nahi kiya, isliye me aate jaate waqt us mandir ki taraf dekhta or us pujaari ki hatya ki ghatna ko yaad karke wahan se chala jata. Kayi baar man me ye bhi khayal aya ki pujari hote huye bhi uski hatya ho gayi mandir me or mata ne uski raksha bhi na ki. Khair ye baat dhire dhire dimag me dhundhli or fir ek ghatna k taur par dimag me reh gayi. Ek din mene news paper me pada ke us pujari ke khooni ko police ne pakad liya or use sazaa bhi ho gayi. 



Mene us khabar na pura pada na usme koi dilchaspi li, ke kya hua tha kya nahi. Agle din se mujhe wo mandir khula dikha, to fir se meri wahi adat shuru ho gayi aate jaate waqt naman karne ki. Us din jab wo mandir kafi din baad khula to meri badi behen ne school se aate waqt us mandir ko naman kiya or apne ghar chali aayi. Us raat unhone sapne me Kaali ji ko dekha usi mandir me khade huye. Ye baat usne normal sapna samajh kar kisi ko na batayi or bhula di. Lekin agle din bhi yahi hua jab wo us mandir se naman karte huye school gayi or wapas ghar ayi to us raat fir unhone sapne me wahi mandir or murti ki Jagah sidhe kaali mata ko khada hua dekha. 



Agle din ravivaar tha, isliye na wo school gayi or naa hi us raaste se kahin or tonaman karne ka sawal hi nahi. Halaaki naman me bhi kiya karta tha mere pita ji bhi magar hum logo me se kisi ko wo sapna nahi aya.Somwaar ko fir wahi hua fir se wahi sapna meri badi behen ko aya. Agle din mangalwaar ko humare guru ji aaye. Humare guru ji dakshin bharat se naukri ki talashme aye huye ke yuva the. Magar the wo atyadhik siddh purush me unke baare me aage ki ghatnaao me bataunga. Jab mandir me pujari ki hatya wali ghatna huyi us waqt humare guruji apni mata ji se milne chennai gaye hue the or usi din wapas aye the. Jab humare guruji se meri behen ne apne sapne ke baare me bataya to unhone esi baat batayi jisse ki humare aashcharya se hosh hi ud gaye. 




"Jis mandir ko tum sapne me dekhta hai, us mandir me kuch din pehle ek pujari ka murder hua tha na." Mere guru ji ne meri behen se pucha, wo hindi me thode kachche the. hum sab ne sehmati jatate huye haan me sar hilaya. Ye humare liye choukne ki baat nahi thi, humare guruji bina ankhein band kiye baat karte karte bhootkaal or bhavishyo ki ghatnaao ki charcha kiya karte the. Fir unhone kaha "Tumne dekha tha us pujari ki hatya kese huyi or Us pujari ki hatya se kya hua hai wahan?" Humne kaha "Nahi.""Us pujari ka sar kaat kar hatya kiya gaya, Jo ki Kaali mata ko sidh karne ke liye kaafi tha." unhone hume bataya. 



Fir hum sabne utsukta se pucha "Esa kese hua, kya wahan siddhi ki puja ki gayi thi?" Unhone samjhaate huye kaha "Narbali, Kaali kosiddh hone ke liye narbali mil gayi or ab wo wahan siddh ho chuki hai."
"Ye mandir abse bahut faldaayi hoga, Sadharan admi ye sochta hai ke mata ne us pujari ki raksha kyu nahi ki" Ye kehte huye guruji ne meri taraf dekha. 



Me samajh gaya k guruji mujhe kya samjhaana chahte hain. Or unhone apne baat aage kahi "Mata ki mahima se use moksha mil gaya, ab isse bada puja ka fal use kya chahiye hoga." Ye sunkar hum sabko bada ashcharya hua. Fir Guruji ne meri behen se kaha "Tumhari atma bahut shudh hai, tum par mata ki bahut kripa hai. Tum jitni baat us mandir ke aage naman karega wo utni baar tumhe darshan dega."Magar kaali mata ke darshan ki wajah se meri behen kafi dar chuki thi, Wo ab wahan kabhi kabhi hi naman karti hain. Lekin jis bhi din naman karti hain us din unhe darshan jarur milta hai. 



Us hatya ki ghatna ke kuch hi mahino baad Kaali mata ki mahima ka asar dikhne laga. Uska pramaan hai wahan vichran karte huye sharir se pure kaale bakre.In bakro ke ek kaan ko thoda sa kaat kar Kaali mata ke naam se wahan chhor diya jata hai. Ye wahin mandir ke aas paas vicharan karte hai inhe koi nahi pakarta. Agar kisi ne inme se ek bhi bakre ko kaataa to uske ghar me ek maut nishchit hai. 


Isliye jin bakro ka thoda sa bhi kaan kataa ho unhe kabhi halaal nahi karna chahiye. Wahan par bali dekhar bakra nahi chadaya jata bas isi tarah bakro ko jeevan daan dekar mata ki kripa prapt ki jaati hai. Ye bakre wahin reh kar ek normalbakre se jyada takatwaar or balishth sharir dharankarne ke baad hi mrityu ko prapt hote hai.

Post a Comment

0 Comments